Roman script

ho jiya maine jiya tujhko diya

o piya mere piya ye kya kiya

nigahe mili to ye jana, divana mai tera divana

likha hai ye dil pe fasana, tujhe hi to dilbar hai mana

ho jiya maine jiya tujhko diya

o piya mere piya ye kya kiya

hoto pe hasi, teri ankho me nasha

tujhe dekho to mann behke

chahon me tujhko din raina, tujhse milake aye chaina

kali kali si teri julfe jo ude, teri khushbu se tan mehke

ho tujhse mujhko hai ye kehna, teri baho me hai rehna

ye vada kabhi na bhulana, hasake mujhe na rulana

bahana koyi na banana, kabhi kuchh na mujhse chhupana

ho jiya meine jiya tujhko diya

dekha sapna hai yahi to arman, tujhe pehnau chudi kangna

ho pyari pyari mulakate, achchi lagati hai ye bate

hai tu mera jahan, tu kahe to meri jan

doli le au tere angna

pyasi pyasi meri rate, dekho khwabo me barate

khayalo ki duniya sajana

jo ana to wapas na jana, ye kasme hamesha nibhana

gale se mujhe hi lagana

ho jiya maine jiya tujhko diya

o piya mere piya ye kya kiya

Explore this song