Roman script

he shyam kahu kaise, hain moh yahaa aise 
jaise chandan se, lipate ho naag
tere bhi dwar aake, bhajan tere ga ke 
chhute man ka nahi anuraag 
ha shyam kahu kaise 
chahu bhulana main bisrana 
har sapna badnam, har sapna badnam 
ho laakh mitaya mit nahi paya 
laakh mitaya mit nahi paya 
fir bhi kisi ka naam 
he shyam he shyam, he shyam kahu kaise 
hain jag sara ye banjara, pal do pal ka dham 
pal do pal ka dham
o do pal me bhi maya mamta 
o do pal me bhi maya mamta 
leti hain anchal tham 
he shyam he shyam 
tere bhi dwar aake, bhajan tere ga ke

Song details

Song video

Watch on YouTube