Roman script

he re kanhaiya kisko kahega tu maiya

ek ne tujhko janm diya 

re ek ne tujhko pala

kanhaiya kisko kahega tu maiya

mani manataye aur devi 

dev puje pir sahi devaki ne

dudh me nehlane ka 

god me khilane ka

sukh paya yashoda ji ne

ek ne tujhko janm diya 

ek ne jivan sambhala

kanhaiya kisko kahega tu maiya

ek ne tujhko janm diya 

re ek ne tujhko pala

marne ke dar se bhej diya dhar se

devaki ne re gokul me

bina diye janm yashoda bani mata 

tujhko chhupaya aanchal me

janm diya ho chahe pala ho 

kisi ne bhed ye mamta na jani

koyi bhi ho jisane diya 

ho pyar mann ka, mann 

to mann usiko mane

ek ne tujhko di hai ye aankhe

ek ne diya ujala

kanhaiya kisko kahega tu maiya

ek ne tujhko janm diya 

re ek ne tujhko pala

Explore this song