Roman script

he jag ke bhagwaan kaha ho aap

aao mujhe apna lo

he jag ke bhagwaan kaha ho aap

aao aao mujhe apna lo

main to tumhaari raaho me aaya

mujhko gale laga lo

mujhko gale laga lo

he jag ke bhagwaan

main prabhu tumse milne aaya

apna sab dukh kahne aaya

janam diya hai dukh ke liye to

jag se mujhe utha lo

jag se mujhe utha lo

he jag ke bhagwaan

tere daras ki lagan lagi hai

man mandir me jot jagi hai

bujh na jaaye tufaano se

aakar ise sambhalo

aakar ise sambhalo

he jag ke bhagwaan

ma ki mamta mujhe pukaare

chhod diya sab tere sahaare

sunte hai tum jagat pita ho

god me mujhe bitha lo

god me mujhe bitha lo

he jag ke bhagwaan

bhagwaan, bhagwaan, bhagwaan

Explore this song