Roman script

hawaaon pe likh do hawaaon ke naam

hawaaon pe likh do hawaaon ke naam

ham anjaan pardesiyon ka salaam

hawaaon pe likh do hawaaon ke naam

ye kiske liye hai

bataa kiskaa naam

ye kiske liye hai

bataa kiskaa naam

o panchi tera ye sureela salaam

hawaaon pe likh do hawaaon ke naam

shaakh par jab dhoop aayi

haath chhoone ke liye

chhaaon cham se neeche koodi

hans ke bhooli

aayiye

yahaan subah se khela karti hai shaam

hawaaon pe likh do hawaaon ke naam

chulbula ye paani apni raah bahna bhoolkar

letey letey aainaa chamka raha hai phool par

ye bhole se chehre hain masoom naam

hawaaon pe likh do hawaaon ke naam

ham anjaan pardesiyon ka salaam

hawaaon pe likh do hawaaon ke naam

Explore this song