Roman script

hawaye payal baja rahi hai

ghataye kajal saja rahi hai

ye wo diya, ye fizaye

kya jane kya gaa rahi hai

o hawaye

main na janu main kaha hu

lagti hai duniya nayi

kitne pyare hai najare

shayad hai jannat yahin

dekhe na aisi bahare

naache kaliya hasi

gaaye jharna kahin

naache kaliya hasi

gaaye jharna kahin

jane ye lahre kisko pukare

o hawaye

sari dharti laage dulhan

phulo ke gahne pahan

phulo pe naache shabnam

shabnam pe naache kiran

kya jane ye kya nasha hai

jhume sara gagan

naache sari jami

jhume sara gagan

naache sari jami

aaj mausam ko kya ho gaya hai

o hawaye

koi pancchi ude jaise 

chanchal mera man ude

dekhe jaise koi sapna

naina mere bawre

ru ru main bahki ghata si

koi bandhan nahi

koi uljhan nahi

koi bandhan nahi

ho koi uljhan nahi

main bhi aazad hu

ab hawa si

hawaye payal baja rahi hai

ghataye kajal saja rahi hai

ye wo diya, ye fizaye

kya jane kya gaa rahi hai

o hawaye hawaye hawaye

Explore this song