Roman script

har kisi ka koyi hota sahara

har dil ka koyi, dil hota pyara

har raat ki ek subah hoti, phulo sa khilta jahan

kash aisa hota, kash koyi na rota

kash pass aakar, kash koyi na khota

kash ke yu daal par, phul murjhate nahi

kash hota, rang se hi saja jaha

ashq aur dard ke labj hote hi nahi

tutte na pyar ke khwab phir yaha

tutne hi the agar 

kash sapne hi, jara kam hote

har kisi ka koyi hota sahara

har dil ka koyi, dil hota pyara

har raat ki ek subah hoti, phulo sa khilta jahan

kash aisa hota, kash koyi na rota

kash pass aakar, kash koyi na khota

apani sari manjile, kash mil jati hame

bhul humse na, koyi ek bhi hoti

kash hota sathi, zindagi bhar ke liye

chhuta na hath phir, hath se kabhi

jo raha na sath to 

kash arman bhi, jara kam hote

har kisi ka koyi hota sahara

har dil ka koyi, dil hota pyara

har raat ki ek subah hoti, phulo sa khilta jahan

kash aisa hota, kash koyi na rota

kash pass aakar, kash koyi na khota

Explore this song