Roman script

zindagi chal tera shukriya

shayad mile na tu

kal ki subah jo diya

humne hans ke liya

ae zindagi tera chal shukriya

har saans ka har khwab ka

umeed ke sailaab ka

tujh se judi har baat ka shukriya

teri dhoop ka barsaat ka

thama jise uss hath kaa

acche boore halaat ka shukriya

shukriya shukriya shukriya shukriya

milna bichadna aana jaana

tai hai sab kuch pahle se

pyar bhare pal baandh ke rakh le

baaki sab kuch rahne de

kuch nahi hath aayega yaha

fir bhi ae zindagi tera shukriya

kuch nahi hath aayega yaha

fir bhi ae zindagi tera shukriya

alwida rahna tu khush sada

shayad milu na main kal ki subah

alwida rahna tu khush sada

shayad milun na main kal ki subah

om namah shivay om namah shivay

om namah shivay om namah shivay

ant naheen hai jeevan ka kuch

ik bahtee dhaara hai ye

aana jaana jeena marna

mausam hain sab jeevan ke

paas hun main tere har jagah

mehsoos kar mujhe aur muskura

Explore this song