Roman script

hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni

jaha wo hai wahi ai chaand le ja chandani apni

agar kuch thi to bas ye thi tamanna akhiri apni

ki tum saahil pe hote aur kashti doobati apni

hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni

taqaza hai yehi dil ka wahi chaliye, wahi chaliye

wo mehfil haaye jis mehfil me duniya lut gayi apni

hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni

khuda ke vaaste zalim ghadi bhar ke liye aa ja

ghadi bhar ke liye aa ja

bhujhani hai tere daaman pe shama-e zindagi apni

hame to sham-e-gham me kaatni hai zindagi apni

hame to

Explore this song