Roman script

labo par jab kisi bhule hue ka naam aata hai

hume us waqt yaad apna dil-e-nakaam aata hai

jafaye tum kiye jaao wafaye hum kiye jaaye

tumhe vo kaam aata hai hume ye kaam aata hai

hume diya hai aapne dhokha o o

hume diya hai aapne dhokha

kyu jaahir ye raaj kare

dil ki baat juba par laakar

dil ki baat juba par laakar

kis kis ko naraaj kar, naraaj kare

hume diya hai aapne dhokha o o

hume diya hai aapne dhokha

badi meharbani tum jo mahfil me aaye

badi meharbani tum jo mahfil me aaye

ho gayi yaade jawa jakhm muskuraaye

ho gayi yaade jawa jakhm muskuraaye

o khamoshi bhi bol rahi hai

khamoshi bhi bol rahi hai

aao naya aagaaj kare

dil ki baat juba par laakar

dil ki baat juba par laakar

kis kis ko naraaj kar, naraaj kare

hume diya hai aapne dhokha o o

hume diya hai aapne dhokha

kali thi main sej ki gajre me mahki

kali thi main sej ki gajre me mahki

rani thi main tere dil ki galiyon me bahki

rani thi main tere dil ki galiyon me bahki

o ijjat wale shohrat wale

ijjat wale shohrat wale

meri adaa pe naaj kare

dil ki baat juba par laakar

dil ki baat juba par laakar

kis kis ko naraaj kar, naraaj kare

hume diya hai aapne dhokha o o

hume diya hai aapne dhokha

chhodi na sharafat maine ghunghru hai baandhe

chhodi na sharafat maine ghunghru hai baandhe

koi nahi jaane haay dil ke iraade

koi nahi jaane haay dil ke iraade

o sare shikwe sari shikayat

sare shikwe sari shikayat

aaj najar andaaj kare

dil ki baat juba par laakar

dil ki baat juba par laakar

kis kis ko naraaj kar, naraaj kare

hume diya hai aapne dhokha o o

hume diya hai aapne dhokha

Explore this song