Roman script

paas aaye, duriya phir bhi kam na huyi

ek adhuri si hamari kahani rahi

aasman ko zamin ye zaruri nahi jaa mile jaa mile

ishq sacha wahi jisko milti nahi manzile manzile

rang the noor tha jab kareeb tu tha

ik jannat sa tha yeh jahaan

waqt ki ret pe kuch mere naam sa

likh ke chhod gaya tu kahaan

hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani

hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani

khushbuwo se teri yunhi takra gaye

chalte chalte dekho na hum kaha aa gaye

jannate gar yahi tu dikhe kyu nahi

chaand suraj sabhi hai yahaan

intezar tera sadiyo se kar raha

pyaasi baithi hai kab se yahaan

hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani

hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani

pyaas ka ye safar khatam ho jayega

kuch adhura sa jo tha pura ho jayega

jhuk gaya aasmaan, mil gaye do jahaan

har taraf hai milan ka samaa

doliya hain saji, khushbuye har kahi

padhne aaya khuda khud yahaan

hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani

hamari adhuri kahani, hamari adhuri kahani

Explore this song