Roman script

hamara kya hai hum tadpe magar tumko karar aaye

hamara kya hai hum tadpe magar tumko karar aaye

magar tumko karar aaye bas itna ho hame bhi apne

dil par ikhtiyar aaye magar tumko karar aaye

hamara kya hai hum tadpe magar tumko karar aaye

magar tumko karar aaye

bahut aasu hai aankho me bahut se dag hai dil me

na ab sawan ki rut aaye na ab fasle bahar aaye

magar tumko karar aaye

humi ne bewafai ki hami ne ye dua mangi

hamari bewafai ka na tumko etbar aaye

magar tumko karar aaye hamara kya hai hum tadpe

magar tumko karar aaye magar tumko karar aaye

jaha itna kiya hai  aap ye bhi karam kar do

tum apni yad se kahdo na hargiz bar bar aaye

magar tumko karar aaye magar tumko karar aaye

Explore this song