Roman script

ham matavale naujavan, manzilo ke ujale

log kare badnami, kaise ye duniya vale 

kare bhalai ham, bure bane har dam

is jahan ki, rit nirali 

pyar ko samjhe, hay re hay sitam

ham matavale naujavan 

ham dhul me lipte sitare, ham zarre nahi hai angare

nadan hai jaha, samajhega kaha, ham naujavan ke ishare 

jab jab jhum ke nikale ham, jaan ke pad jaye lale

log kare badnami, kaise ye duniya vale

ham matavale naujavan 

ham rote dilo ko hasa de, dukh dadr ki aag bujha de

bechain nazar, betaab jigar, ham sabko gale se laga le

ham man mauzi shahzade, dukhiyo ke rakhavale

log kare badnami, kaise ye duniya vaale

kare bhalai ham, bure bane har dam

is jaha ki, rit nirali

pyar ko samjhe, hay re hay sitam

ham matavale naujavan, manzilo ke ujale

log kare badnami, kaise ye duniya vale

Explore this song