Roman script

hairat zada hu mai, kya dekhta hu mai

jana hua pahchana hua, ye kon aa gaya

waisa hi rang hai, waisa rup hai

dekha hua samjha hua, ye kon aa gaya

barso se is dilruba ki tasvir dil me saji

murat ye hai usi ke sanche me dali

jispe fida hu mai, jise pujta hu mai

lekar yaha phir uski adda, ye kon aa gaya

uski khusbu hawao me bikhri, uski garmi hai mahol me

do dil yahi pe bandhe the, wafa ke khol me

manjar saje saje, mujhse ye puchte

lekar tujhe phir is jagah, ye kon aa gaya

hairat zada hu mai, kya dekhta hu mai

jana hua pahchana hua, ye kon aa gaya

Explore this song