Roman script

hai tu jo mila khilti yeh shaam aa mili

lagta mujhe kyun naya saath tera

hai tu saamne lagta nahi ajnabee

tanha shehar tha kabhi ab na raha

saath tera bulbule sa hai koyi

hawa mein uda jaata hai kahin

chhoo loon jo main galti se kahin

kho jaaye kahan

hai tu mujhmein

jaise ho yeh saansein meri

hoke mera hai kyun nahi

saath tera

hai khaali silsile dhoondhne se na mile

koyi bhi apna yahan

adhoori saayein hai adhoori aahatein

koyi na apna yahan

dekha tujhe toh yoon lag raha

mila hai dil ko ab sab yahan

par saath tera bulbule sa hai koyi

hawa mein uda jaata hai kahin

paas jaaun galti se kahin kho jaaye kahan

hai tu mujhmein jaise ho yeh saansein meri

hoke mera hai kyun nahi saath tera

hai tu hai tu saath tera saath tera

saath tera

Explore this song