Roman script

bahaare kya kahengi kya jaane 
nazaare na banege mere 
sitaare kya kahenge na jaane 
sahare na banege mere 
hai gam hamdam 
jaha me hu akeli kisko kya 
gamo ki main saheli dekho 
nahi hun main paheli 
par duniya meri dil se kheli dekho 
hain gam hamdam 
jite baazi ham sada pyaar ki 
aisa ham to na kahenge 
dhadakan bole bevafa yaar ke 
dil me fir bhi ham rahenge 
koi bhi jo kahe, wo kahen do 
kisi ki na sunu main baate 
mujhe to na kisi se kuchh lena 
badi hain berahem ye raate 
hain gam hamdam 
bahaare kya kahengi kya jaane 
nazaare na banege mere 
sitaare kya kahenge na jaane 
sahare na banege mere 
hai gam hamdam 
jaha me hu akeli kisko kya 
gamo ki main saheli dekho 
nahi hun main paheli 
par duniya meri dil se kheli dekho 
hain gam hamdam 
suniy galiyaan ab bhi yaar ki 
tanha ab to wo rahenge 
baate bhule ab kahi pyaar ki 
hamse ab kya wo kahenge 
koi bhi jo kahe, wo kahen do 
kisi ki na sunu main baate 
mujhe to na kisi se kuchh lena 
badi hain berahem ye raate 
hain gam hamdam

Song details

Song video

Watch on YouTube