Roman script

ho, gum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam

par tumhe likh nahin paaun main uska naam

haay raam, haay raam

subah shaam

gum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam

par tumhe likh nahin paaun main uska naam

haay raam, haay raam

ho, socha hai ek din main usse milke

keh daalu apne sab haal dil ke

aur kar doon jeevan uske hawaale

phir chhod de chaahe apna bana le

main to uska re hua deewaana

ab to jaisa bhi mera ho anjaam

gum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam

par tumhe likh nahin paaun main uska naam

haay raam

chaaha hai tumne jis baawri ko

vo bhi sajanwa chaahe tumhi ko

naina uthaaye to pyaar samjho

palkein jhuka de to ikraar samjho

rakhti hai kab se chhupa chhupaake

apne honthon mein piya tera naam

gum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam

par tumhe likh nahin paaun main uska naam

ho, gum hai kisi ke pyaar mein

dil subah shaam

par tumhe likh nahin paaun

main uska naam

haay raam, haay raam

subah shaam

gum hai kisi ke pyaar mein dil subah shaam

Explore this song