Roman script

aankho me teri jadu sanso me teri khusbu

bato me wo kashish hai dil pe rahe na kabu

tere shabaab ke hai charche jaha me harsu

manjur hai mujhe bhi sabse hasin hai tu

surat ke jaisi teri sirat magar kaha

gustakhi maaf ho aye jane jaha

gustakhi maaf ho jane jaha jane jaha jane jaha

gustakhi maaf ho aye jane jaha gustakhi maaf ho 

mausam ke jaise dekhe so rang maine tere

kal sham tu juda thi kuch or hai savere

shabnam samajh ke tujhko ungli se jab chua hai

shola hai janeman tu mehsus tab hua hai

kisse kahe ye mushkil dusman hai apna hi dil

koi bhi zor ispe chalta nahi yaha

gustakhi maaf ho aye jane jaha

gustakhi maaf ho jane jaha jane jaha jane jaha

gustakhi maaf ho aye jane jaha gustakhi maaf ho 

yu nigahe na chura mast nazro ki kasam

aye meri janewafa tujhko aaho ki kasam

mai to tha ek aawara teri julfo ki kasam

teri chahat ne mara tere jalwo ki kasam

aaj khamosh na reh surkh hotho ki kasam

dil me jo bat hai keh tujhko wado ki kasam

pyar badnam na ho bake jajbo ki kasam

sar pe ilzam na ho apne sajdo ki kasam

aa bhi ja paas mere behte ashko ki kasam

mai bharose hu tere dil ke rishto ki kasam

kehta hai ye diwana apni kasam nibhana

dushman bana jamana hai apna imtiha

gustakhi maaf ho aye jane jaha

gustakhi maaf ho jane jaha jane jaha jane jaha

gustakhi maaf ho aye jane jaha gustakhi maaf ho 

ulfat ke dushmano ko rakhe khuda salamat

sabki jo khair mange hai wo dua mohabbat

naraj hai tu mujhse par mai khafa nahi hu

sunle aye mere dilbar mai bewafa nahi hu

apno se nahi hote is tarah badguma

gustakhi maaf ho aye jane jaha

gustakhi maaf ho jane jaha jane jaha jane jaha

gustakhi maaf ho aye jane jaha gustakhi maaf ho 

tode jo har nashe ko wo yar ki sada hai

dunia ko jo bhulade wo pyar ka nasha hai

hai jan hatheli pe sar pe bandha kafan hai

apne piya se milne khud hi chali dulhan hai

dildar ka ishara choda jahan sara

mera sanam jaha hai dunia meri waha

gustakhi maaf ho aye jane jaha

gustakhi maaf ho jane jaha jane jaha jane jaha

gustakhi maaf ho aye jane jaha gustakhi maaf ho

Explore this song