Roman script

hey fikar

kyu meri tu fikar karey?

sunn aye darr

kyu peechhe peechhe tu chaley?

chhorh ke kal ki gali

main naye raste chali

dhoondne duniya nayi

aahatein, hain nayi….

hey nazar

kyu mujh pe tu nazar rakhey?

sunn zubaa

kyu mujh se tu khafa rahey?

maine khud ko rokna

apna sach na bolna

chhorh daala tokna

aaadatein, hain nayi…

main jo hui nayi

toh zindagi ye saari nayi hui

main jo hui nayi

lo zindagi se yaari nayi hui

mann mein apne jhaank ke

aankh milaa ke aankh se

dekhna hai aaj se

himmatein, hain nayi

main jo hui nayi

toh zindagi ye saari nayi hui

main jo hui nayi

lo zindagi se yaari nayi hui

main jo hui nayi

toh zindagi ye saari nayi hui

main jo hui nayi

lo zindagi se yaari nayi hui

Explore this song