Roman script

ghar dil me de diya, ghar me bhi de do jagah

dibar pe dilruba ahsan kar do jara

yu pal do pal milna acha lagta hai

magar har pal tumko sahna asan nahi hai meharba

na re na na re na tera dil kyu mane na

mai kya kya karunga sun ke to dekho jara

mai kya kya karunga sun ke to dekho jara

subah jab uthogi janam chai bhi mai pilaunga

ando ke sath tumko karare tost khilaunga

kapde tyar karunga sandal bhi mai pahnaunga

ghar bhi mai saf karunga khana bhi pakaunga

na re na na re na mera dil teri mane na

tune to kah diya ab mujhse sun lo jara

tune to kah diya ab mujhse sun lo jara

sofe pe chaddar tane sote hi rahoge

just give me five minutes more kahte hi rahoge

shower me ja ke aisi tum gand machaoge

chadi baniyan wahi par tum chhod ke aaoge

sham ko jo ghar aaungi dinner kya milega

lungi me kele khata ek bandar milega

na re na na re na tera dil kyu mane na

ek pal ka kya kahna har pal hi hoga suhana

ek pal ka kya kahna har pal hi hoga suhana

he jane ja yu dil na todo bewajah yu muh na modo 

mai to manu dil na mane fir kya hoga allah jane

tum satao na

tum azama ke dekho ek chance deke dekho

bin sath rahe tum kaise kaho ki dil mane na

ha re ha ha re ha chalo maine kah diya

ghar dil me de diya, ghar me bhi dungi jagah

par yad rakhna ek hi mauka milega

Explore this song