Roman script

gaye dino ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo

gaye dino ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo

ajib maanus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo

gaye dino ka surag lekar 

bas ek moti si chhab dikhakar 

bas ek moti si chhab dikhakar 

bas ek mithi si dhun sunakar

sitara-e-sham ban ke aaya brang-e-khaabe sahar gaya wo

ajib maanus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo

gaye dino ka surag lekar 

na ab wo yaado ka chadhta dariya 

na ab wo yaado ka chadhta dariya 

na fursato ki hai oas barkha

yunhi jara si kasak hai dil me 

yunhi jara si kasak hai dil me 

jo zakhm gahra tha bhar gaya wo

ajib maanus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo

gaye dino ka surag lekar 

wo hijr ki raat ka sitara 

wo hijr ki raat ka sitara 

wo humnafas humsukhan humara

sada rahe uska naam pyara 

sada rahe uska naam pyara 

suna hai kal raat mar gaya wo

ajib maanus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo

gaye dino ka surag lekar 

wo raat ka benava musafir 

wo raat ka benava musafir 

wo tera shayar wo tera naasir

teri gali tak to humne dekha tha 

phir na jane kidhar gaya wo

ajib maanus ajnabi tha mujhe to hairan kar gaya wo

gaye dino ka surag lekar kidhar se aaya kidhar gaya wo

gaye dino ka surag lekar

Explore this song