Roman script

ganga kinare mohe bagiya laga de sainya

ganga kinare mohe bagiya laga de sainya

parvat kii chhainya bitha de rasiya

malan banungi tori sinchuu phulawari

maalan banungi tori sinchuu phulawari

chandan ki dar jhuka de rasiya

chandan ki dar jhuka de rasiya

parvat ki chhainya parvat ki chhainya

tore baago mein sainya kante bahut hai

tore baago mein sainya kante bahut hai

man ki kaliya khila de rasiya

man ki kaliya khila de rasiya

parvat ki chhainya parvat ki chhainya

baago mein more nahi papiha

baago mein more nahi papiha

tuhi papiha bula de rasiya

ganga kinare mohe bagiya laga de sainya

parvat ki chhainya bitha de rasiya

parvat ki chhainya parvat ki chhainya

Explore this song