Roman script

gam ka sataya hua kismat ka mara hua

zindagi ke har khel me hara hua

gam ka sataya hua kismat ka mara hua

shayad mere hath me jeet ki rekha nahi

jo bhi maine chaha use hote huye dekha nahi

pa saka na mai use jo bhi mujhe pyara hua

gam ka sataya hua kismat ka mara hua

jane kya kya dil me tha

khwab the arman the

kya khabar thi ye tabahi ki meri saman the

rah gaye bhanwar me hum dur ab kinara hua

gam ka sataya hua kismat ka mara hua

zindagi ke har khel me hara hua

gam ka sataya hua kismat ka mara hua

Explore this song