Roman script

Jaane kyun mujhse khafa hai tu

Wajib si koi wajah de

Pehle gunaah toh bata mera

Phir chaahe koi saza de

Kuch haal tha dil ka bura

Kuch ho gayi dooriyaan

Bas kar gayi humko judaa

Galatfahmiya, galatfahmiya

Galatfahmiya, galatfahmiya…

Hai tere aur mere darmiyaan

Galatfahmiya, galatfahmiya

Galatfahmiya, galatfahmiya…

Nazdeekiyaan sabhi yaad kar

Jab baazuon mein thi raat bhar

Haseen kitni har mulaqat thi

Hai berukhi yeh kis baat par

Ab ho gaye halaat yoon

Chehre kya dil bhi hue ajnabi

Keh na sake humse kabhi

Aisi bhi kya thi majbooriyaan

Jo kar gayi humko judaa

Galatfahmiya, galatfahmiya

Galatfahmiya, galatfahmiya…

Dekha palat kar bata kyun nahi

Aawaz mudke di maine kayi

Jis raah pe hum judaa the hue

Aankhein ruki hai wahin aaj bhi

Kabhi paas kitne the tum aur main

Kyun woh jagah hai daraaron mein hi

Main har ghadi hoon yeh sochta

Kiske rakhun sar woh nakaamiyaan

Kyun kar gayi humko judaa

Galatfahmiya, galatfahmiya

Galatfahmiya, galatfahmiya (x2)

Galatfahmiya..

Explore this song