Roman script

gaa raha tha koi darakhton mein

gaa raha tha koi darakhton mein

raat nind aa gayi darakhton mein

gaa raha tha

chand nikla kufat ke taaro se

aag si lag gayi darakhton mein

mih jo barsa to barge jal me

chhed di baansuri darakhton mein

gas raha tha

liye jaati hain mausam ki pukaar

ajnabi ajnabi darakhton mein

kitni aabadiya hin sheher se dur

jaake dekho kabhi darakhton mein

gaa raha tha

chalte chalte dagar ujaalon ki

jaane kyun mud gayi darakhton mein

der tak uski tez aankho se

roshni si rahi darakhton mein

gaa raha tha koi darakhton mein

raat nind aa gayi darakhton mein

ga raha tha koi

ga raha tha koi

ga raha tha koi

Explore this song