Roman script

falsafi o falsafi kis taraf hai tera ishara 

kya soya kal aankhe mal jagne ko hai dobara 

suno suno kya kahti in bejaban patthar ki jaba 

hai jinki chahat jawa jawa, unhi phulo ka ye gulsita

diye sadiyo pehle huye the jo roshan 

diye phir wahi jagmagane lage hai

kare benajar pe gaye jo najar ko

najar phir wahi aane lage hai 

ye hai do dilo ki mohabbat ka mandir

nishani har inki yaha bolti hai

wo chup ho gaye hai, jo kuchh kehte kahte 

wahi to samy ki jaba bolti hai 

kal raat is kile me manayi jo diwali

aaj uski badhayi dene aayi subah ki rani

khabar sunke hairan hai log saare

hakikat hai kya janana chahte hai 

jo kal raat ko chand aankho ne dekha

kahi maujsa dekhna chahte hai

baya unki pakij ki ka ho kaise

ek tha beganga to ek tha sangam 

nahi jaat maddham nahi dakhl dete

jaha pyar mein do dilo ka ho sangam 

chahat ki jadugari dekhne ko umad pada hai jaha 

nahi ye sirf ek daasta, hakikto ka hai ye baya

ye naa samajho gujar gaya hai wakt

log gujre thehar gaya hai wakt

aaj aur kal ke darmiya ki 

sabhi duriya dur kar gaya hai wakt 

naa baandhe bandhi hai samay ki ye dhara 

ye sadiyo ke tinke bahe jaa rahe hai 

naya rup lekar naye naam lekar 

wahi log apne ko dohra rahe hai 

naya rup lekar naye naam lekar 

wahi log apne ko dohra rahe hai

Explore this song