Roman script

falak ke chand ka
falak ke chand ka humne jawab dekh liya
jami ki god me kal
jami ki god me kal maahtab dekh liya
kisi ki sharbati aankhe
kisi ki sharbati aankhe
basa ke aankho me
basa ke aankho me
bina peeye huye lutfe sharab dekh liya
bina peeye huye lutfe sharab dekh liya
nigahe shaukh ne rukh se utha ke parde ko
nigahe shaukh ne rukh se utha ke parde ko
kali ka husn gulo ka shabab dekh liya 
kali ka husn gulo ka shabab dekh liya 
jami ki god me kal
jami ki god me kal maahtab dekh liya
udhar to bujh gayi
udhar to bujh gaye lekin idhar to lag uthe 
udhar to bujh gaye lekin idhar to lag uthe 
bujha ke aag, anokha azaab dekh liya 
bujha ke aag, anokha azaab dekh liya 
jami ki god me kal
jami ki god me kal maahtab dekh liya
falak ke chand ka
falak ke chand ka humne jawab dekh liya
jami ki god me kal maahtab dekh liya

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Mehtab, Wasti, Ghulam Mohammad, Sadiq Ali