Roman script

ek zakhmi dil fariyad kare fairyad kare

ek zakhmi dil fariyad kare fairyad kare

has has kar kiya tha pyar jise 

ro ro kar usi ko yad kare

haye yad kare

ek zakhmi dil fariyad kare fairyad kare

dhokha tha agar dhokha hi sahi

ulfat ki najar rangin to thi

ulfat ki najar rangin to thi

sacche na sahi jhuthe hi sahi

rato se magar taskin to thi

rato se magar taskin to thi

ek pyar bhara dil kyu roye

dunia na agar barbad kare

ek zakhmi dil fariyad kare fairyad kare

ek zakhmi dil fariyad kare fairyad kare

phir aur kisi se kya shikwa

jab sath tumhi ne chhod diya

jab sath tumhi ne chhod diya

najro ka sahara chin liya

arman bhara dil tod diya

arman bhara dil tod diya

dunia me kisi ki dunia ko

yu bhi na koi barbad kare

ek zakhmi dil fariyad kare fairyad kare

has has ke kiya tha jise pyar

dil ro ro ke usi ko yad kare

haye yad kare

ek zakhmi dil fariyad kare fairyad kare

Explore this song