Roman script

ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi

ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi

warna in taaro bhari raato me kya hota nahi

ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi

ji me aata hai ulat de unke chehare se naqab

hausala karte hai lekin hausala hota nahi

warna in taaro bhari raato me kya hota nahi

ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi

shama jiski aabaru par jaan de de jhum kar

wo patanga jal to jata hai fana hota nahi

warna in taaro bhari raato me kya hota nahi

ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi

ek muddat se rah-o-rasme nazara band hai

ab to unka tur par bhi samana hota nahi

warna in taaro bhari raato me kya hota nahi

ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahi

Explore this song