Roman script

ek thi ladki

ek thi ladki meri saheli, sath pali aur sath hi kheli

phulo jaise gaal the uske, resham jaise baal the uske

hansti thi aur gaati thi vo, sabke man ko bhati thi vo

jhalardar skirt pehan ke, jab chlti thi vo ban than ke

hum usko gudiyan kahte the, rango ki pudiya kehte the

saari school ki pyaari thi vo, nanhi raajkumari thi vo

ek din usne bholepan se, puchha ye papa se jaa ke

ab main khush rahti hun jaise, sada hi kya rahungi aise

papa bole meri bachhi, baat bataun tujh ko sachhi

kal ki baat naa koi jaane, kehte hai ye sabhi sayane

ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga

ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga

bachpan beeta aayi jawani, ladki ban gayi rup ki rani

college me ithlaati firti, balkhaati lahraati firti

ek sundar chanchal ladke ke

chhup-chhup kar chupke-chupke se

ladki ki tasvir banai, aur ye kah kar use dikhai

is par apna naam to likh do, chhota sa paigam to likh do

ladki pahle to sharmai, fir man hi man me muskaayi

deni ek tasvir tumhari, maine bhi dil me utaari

bolo is par naam likhoge, tum bhi kuch paigam likhoge

ladka bola naam bhi ek hai, ab apna piagam bhi ek hai

ab to dono gaate firte, masti me lahraati firti

ek din usne bholepan se, puchha ye apne sajan se

ab main khush rahti hun jaise, sada hi kya rahungi aise

usne kaha ki meri rani, itni baat hai maine jaani

kal ki baat naa koi jaane, kehte hai ye sabhi sayane

ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga

ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga

(2nd version)

ik pardesi dur se aaya, ladki par haq apna jataya

ghar waalo ne haami bhar di, pardesi ki marazi kar di

pyaar ke waade huye naa pure, rah gaye saare khwaab adhure

chhod ke saathi aur hamsaaye, chal di ladki desh paraye

do banho ke haar ne roka, vaado ki diwaar ne roka

ghayal dil ka pyaar pukara, aanchal ka har taar pukara

par ladki kuch munh se na boli, patthar ban kar gair ki ho li

ab gumsum hairan si hai wo, mujhse bhi anjaan si hai wo

jab bhi dekho chup rahti hai, kahti hai to ye kahti hai

kal ki baat naa koi jaane, kehte hai ye sabhi sayane

ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga

ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga

ye mat socho kal kya hoga, jo bhi hoga achha hoga

Explore this song