Roman script

isi jagha is khandar me ha is ujde virane me

kahte hai milte the do diwane kisi zamane me

ek tha banjara, ek thi shehajadi

ek tha banjara, ek thi shehajadi  

un dono ki prem kahani

un dono ki prem kahani kahti hai ye wadi

ek tha banjara, ek thi shehajadi

kaise unka mail huya kismat ka ye khel huya

ek dafa vo banjara mahal ke raste se gujra

gana banjaro ki rit usne chheda koi geet 

jab uski aawaz sune tadap uthi bas shehjadi

usne hukam diya hajir ho

usne hukam diya hajir ho kon hai ye fariyadi

ek tha banjara, ek thi shehajadi

shehjadi ka sunkar naam banjare ne kiya salam

ulfat kar gayi apna kam dil ne dil ko diya paiyam

sach kahte hai sare log bahut bura hai prem ka rog

ye jisko lag jata hai cahin use kab aata hai

banjare ne shehjadi ke

banjare ne shehjadi ke dil me aag laga di 

ek tha banjara, ek thi shehajadi

o hire moti lekar sath shehjadi aayi ek rat

kahne lagi mai hu taiyar chhod  diya maine ghar bar

banjare ne kaha nahi hire moti phenko yahi 

pyar me jina marna hai daulat ka kya karna hai

pyar ne pal me duniya ki

pyar ne pal me duniya ki unchi diwar gira di 

ek tha banjara, ek thi shehajadi

un dono ki prem kahani kahti hai ye wadi

ek tha banjara, ek thi shehajadi

Explore this song