Roman script

ho bhole kya bole ho bhole kya bole 

ik tara jogi aaya unche parwat ka banjara jogi aaya 

ho bhole kya bole ik tara jogi aaya 

unche parwat ka banjara jogi aaya 

arey apni jeb paraya maal jiwan mohmaya ka jaal 

jhootha ye jag sara bhole kya bole ik tara jogi aaya 

unche parwat ka banjara jogi aaya 

teri kismat nyari hai arey teri kismat nyari hai

tu saajan ki pyari hai 

chupkar dono milte ho duhsman duniyadari hai 

tera preetam hai pardes aayega wo badal kar bhesh

ye sandes hamara bhole kya bole ik tara jogi aaya 

unche parwat ka banjara jogi aaya 

maine baaki sab dekha duniya dekhi rab dekha 

arey maine baaki sab dekha duniya dekhi rab dekha 

maa kya hai mamta kya hai ye to maine ab dekha 

o maa tumko jab dekha mit jayegi teri pyaas 

aa jayega tere pass tera raaj dulara 

bhole kya bole ik tara jogi aaya 

unche parwat ka banjara jogi aaya 

ghode hathi aayenge ghode hathi aayenge 

sab barati aayenge doli bharke is ghar ki 

daulat ko le jayenge aane wale hai mehmaan

hoga tum sab ka kalyaan 

bhole kya bole ik tara jogi aaya 

unche parwat ka banjara jogi aaya 

arey apni jeb paraya maal jiwan mohmaya ka jaal 

jhootha ye jag sara bhole kya bole ik tara jogi aaya 

unche parwat ka banjara jogi aaya

Explore this song