Roman script

ek sans aur ek sans kam, ek sans me bite janam

ek sans bas ek sans ham, ek sans aur ek sans kam

ho kya kar diya kya ho gaya, ek sans aur ek sans kam

kya kar diya kya ho gaya kaise kaha tu kho gaya

ek sans aur ek sans kam, ek sans me bite janam

ek sans bas ek sans ham, ek sans aur ek sans kam

ho dil ke tute jan jate waqt lagta hi nahi

ik khushi ka pal manate bit jaye zindagi

mujh me khoya aaj-tak tha aaj khud ko pa liya

mujhse mil ke maine puchha tune kisko kya diya

kya kar diya

kya kar diya kab kho gaya insan tha kya ho gaya

ek sans aur ek sans kam, ek sans me bite janam

zindagi ko jite-jite pite-pite apne gam

sans aur ehsas kitne kho diye kitne janam

hai jahan pe tujhko jana sath kya le jayega

pyar ko manzil bana le tu khuda ko payega

mil jayega

mil jayega jo kho diya patthar tha tu kab ro diya

ek sans aur ek sans kam, ek sans me bite janam

ek sans bas ek sans ham, ek sans aur ek sans kam

ek sans aur ek sans kam, ek sans me bite janam

ek sans bas ek sans ham, ek sans aur ek sans kam

Explore this song