Roman script

fuk fuk kar chulaha 

aankhiyan ka bhayo satya nas

haldi devi bahu hai apni

shrimati mirchi apni saas

bol mere dukhiya man kab tak

ye chulaha ye choka ye jhadu 

ye bartan ye aata bataata 

ye gadbad gulaata are ye hi are wo wo

are dhat teri ki 

par sab din ho tane ek samaan panchhi 

kahe hot udaas 

ek roj hamaari bhi daal galegi 

ek roj hamaari bhi daal galegi 

bairi duniya jo dekhegi khub jalegi 

ha bairi duniya jo dekhegi khub jalegi 

ek roj hamaari bhi daal galegi 

ek roj hamaari bhi daal galegi 

ho ho bhayiya hamaara hai m.a, b.a paas 

ho ho bhayiya hamaara hai m.a, b.a paas

bhala kab tak ham khaate rahenge ye ghaas 

bhala kab tak ham khaate rahenge ye ghaas 

rukhi sukhi ghaas chhi chhi 

sadi sadi ghaas 

dhat tera satyanaash satyanaash satyanaash

rukhi sukhi roti aur nimbu ka aachaar 

haaye haaye jaane kab chhodega pichhaa hamaar 

rukhi sukhi roti aur nimbu ka aachaar 

haaye haaye jaane kab chhodega pichhaa hamaar 

din honge garibi ke jis din khallas

garam garam, garam garam kachaudi pudi khub talegi 

garam garam kachaudi pudi khub talegi 

bairi duniya jo dekhegi khub jalegi 

bairi duniya haaye haaye haaye 

bairi duniya jo dekhegi khub jalegi 

ek roj hamaari bhi daal galegi 

ek roj hamaari bhi daal galegi 

hoga ek din hamaare bhi paas baira 

ha ha hoga ek din hamaare bhi paas baira 

dega darwaaje par gorkha pahara 

dega darwaaje par gorkha pahara 

mai bankar saahab gitpit english bolu re 

mai bankar saahab gitpit english bolu re 

ye chauka bartan chhodke hotal kholu re 

ye chauka bartan chhodke hotal kholu re 

english bolu re, hotal kholu re 

gitpit bolu re, hotal kholu re

nikale mera julus band baaje ke saath 

roj meri salaami ko top chalegi 

roj meri salaami ko top chalegi 

bairi duniya jo dekhegi khub jalegi 

bairi duniya jo dekhegi khub jalegi 

ek roj hamaari bhi daal galegi 

ek roj hamaari bhi daal galegi 

are daal galegi, are daal galegi

are daal galegi haaye haaye haaye 

are gali re daal

Explore this song