Roman script

ek raaja hai ek raani hai paas paisa hai aur javaani hai

aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai

sab nasibo ki ye kahani hai, teri chahat ki sab nishani hai

aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai

ghar hai ek mandir tum mere devta ho

maine rab se maagi vahi tum duaa ho

kaun hame duniya me itna pyar dega

itani khushi aur aisa sansaar dega

mujhe rehna hai inhi charno me, umr baaho me yun bitani hai

aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai

aisi apni dosti hai aisa dostaana

yad rakhega hamko saara zamaana

dosti pe bilkul na karna bharosa

dost banke dete hai log yahan dhokha

dosti ham na kabhi todenge aaj hamne ye dil me thani hai

aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai

aise gulshan to baharo me khila karte hai

aise maa baap nasibo se mila karte hai

maine har roj duaa maagi hai teri khatir

mera har khvaab ban gaya hai hakikat aakhir

in rishto ko ham nibhayege, apni puja bhi aajmaani hai

aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai

ek raaja hai ek raani hai, teri chahat ki sab nishani hai

sab nasibo ki ye kahani hai, hai karam uska meharbani hai

aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai

aur kya zidagaani hai, aur kya zidagaani hai

Explore this song