Roman script

ek pardesee meraa dil le gaya

jaate jaate mithha mithha gham de gaya

kaun paradesee teraa dil le gaya

motee motee aakhiyo me aansu de gaya

mere pardesiya kee yahee hain nishaanee

aakhiya bilor kee, shishe kee jawaanee

thhandee thhandee aaho kaa salaam de gaya

dhundh rahe tuje laakho dilwaale

kar de o goree jara aankho se ujaale

aankho kaa ujaala pardesee le gaya

usako bula du, saamane la du

kya mujhe dogee jo tumse mila du

jo bhee mere paas tha woh sab le gaya

Explore this song