Roman script

ek pardesi door se aya 

ladki par hak apana jataya 

ghar waalo ne hamne bhar di 

pardesi ki marji kar di 

pyaar ke waade huye na pure 

rah gaye sare khwab adhure 

chhod ke sathi aur ham saye 

chal di ladki desh paraye 

do baaho ki haar ne roka 

waado ki diwar ne roka 

ghayal dil ka pyaar pukara 

aanchal ka har taar pukara 

par ladki kuchh muh se na boli 

pathar ban kargair ki holi

ab gum sum hairaan si hain wo 

mujhse bhi anjaan si hain wo

jab bhi dekho chup rahti hain 

kahti hain to ye kahti hain

kal ki baat na koi jaane 

kahte hain ye sabhi siyane 

ye mat socho kal kya hoga 

jo bhi hoga achcha hoga 

ye mat socho kal kya hoga 

jo bhi hoga achcha hoga 

ye mat socho kal kya hoga 

jo bhi hoga achcha hoga

Explore this song