Roman script

ek lamha to bina dard ke gujar jaaye

ek lamha to bina dard ke gujar jaaye

jindgi na bhi mile, maut hi sanvar jaaye

chhipaaye laakh yaha, chhipaaye laakh yaha

dusro se dard-e-jigar

khudi se aankh churakar, koi kidhar jaaye

jindgi na bhi mile, maut hi sanvar jaaye

ek lamha to bina dard ke gujar jaaye

udaas hum hi nahi, udaas hum hi nahi

teri mehfil me saaki

jise bhi dekhiye vo, chahta hai mar jaaye

jindgi na bhi mile, maut hi sanvar jaaye

ek lamha to bina dard ke gujar jaaye

waqt ke paav bhi, waqt ke paav bhi

yun sahme hue uthte hai

jaise mehbub ko apna ke koi ghar jaaye

jindgi na bhi mile, maut hi sanvar jaaye

ek lamha to bina dard ke gujar jaaye

jindgi na bhi mile, maut hi sanvar jaaye

Explore this song