Roman script

ek ladki jiski aankhe yeh kehti hai, mai usko achcha lagata hu 
ek ladki jiski aankhe yeh kehti hai, mai usko achcha lagata hu 
pyar ki bato se janey kyon ghabarati hain 
pyar ki bato se janey kyon ghabarati hain 
koyi bataye kaise pagli ko samjhau 
ek ladka jiski aankhe yeh kehti hai, mai usko achchi lagati hu 
ek ladka jiski aankhe yeh kehti hai, mai usko achchi lagati hu 
samajh naa paye kyon ek ladki sharmati hai 
samajh naa paye kyon ek ladki sharmati hai 
koyi bataye kaise pagle ko samjhau 
woh ladki kya janey kyun itani jiddi hain
uss ladke ne bat hi shayad aisi ki hain
uss ladki ki nak pe gussa kyon baitha hai
woh ladka bhi bat pe apni kyon aitha hai
tang aake mai kisi kuwe me kud naa jao
tang aake mai kisi kuwe me kud naa jao
koyi bataye pagle ko kaise samjhau
uss ladke ne aakhir khud ko kya samjha hai
uss ladki ko samjhao ladka achcha hai
uss ladke jaise milte hain janey kitne
uss ladki se kaho key nakhre kare naa itne
uski surat aaine me use dikhao 
uski surat aaine me use dikhao
koyi bataye kaise pagli ko samjhau
ek ladki jiski aankhe yeh kehti hai, mai usko achchi lagati hu 
ek ladka jiski aankhe yeh kehti hai, mai usko achcha lagata hu
samajh naa paye kyon ek ladki sharmati hai
pyar ki bato se janey kyon ghabarati hain
koyi bataye pagle ko kaise samjau

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Udit Narayan, Prashant, Alka Yagnik

actor: Sunny Deol, Manisha Koirala, Kashmira Shah