Roman script

o... ek ladki ko dekha to aisa laga 

ek ladki ko dekha to aisa laga, jaise 

khilta gulaab, jaise 

shayar ka khvab, jaise 

ujali kiran, jaise 

ban me hiran, jaise 

chaandani raat, jaise 

narami ki baat, jaise 

mandir me ho ek jaltaa diya

o... ek ladki ko dekha to aisa laga

o... ek ladki ko dekha to aisa laga

ek ladki ko dekha to aisa laga, jaise 

subah ka rup, jaise 

sardi ki dhup, jaise 

vinaa ki taan, jaise 

rango ki jaan, jaise 

balakhaaye bel, jaise 

laharo ka khel, jaise 

khushbu liye aaye thandi hava

o... ek ladki ko dekha to aisa laga

o... ek ladki ko dekha to aisa laga

ek ladki ko dekha to aisa laga, jaise 

nachta mor, jaise 

resham ki dor, jaise 

pariyo ka raag, jaise 

sandal ki aag, jaise 

solah shringaar, jaise 

ras ki phuhaar, jaise 

aahista aahista badhta nasha 

ho... ek ladki ko dekha to aisa laga

ek ladki ko dekha to aisa laga

Explore this song