Roman script

ek janib shamm-e-mehfil
ek janib shamm-e-mehfil, ek janib ruhe jana
girta hain dekhe kaha parwana
ek janib shamm-e-mehfil
ek janib shamm-e-mehfil, ek janib ruhe jana
girta hain dekhe kaha parwana
ek janib shamm-e-mehfil
ek su ek shola charago ki anjuman men
ek su range jalwa kisi buth ke pakpan men
ek shola ek jalwa aur iname ek diwana
ek janib shamm-e-mehfil, ek janib ruhe jana
girta hain dekhe kaha parwana
ek janib shamm-e-mehfil
usaki kya hai manjil nahi itna bekhabar bhi
aaya dilbaro men to hain kafi ek najar bhi
inn najro ko yaro kya janu mai anjana
ek janib shamm-e-mehfil, ek janib ruhe jana
girta hain dekhe kaha parwana
ek janib shamm-e-mehfil
kya kya rang nikale hasino ki sadagi se
itni hai shikayat ke milte hain ajnabi se
jo aisa beparwah kya use dil uljhana
ek janib shamm-e-mehfil, ek janib ruhe jana
girta hain dekhe kaha parwana
ek janib shamm-e-mehfil, ek janib ruhe jana
girta hain dekhe kaha parwana
ek janib shamm-e-mehfil

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Manna Dey, Mohammed Rafi

actor: Meena Kumari, Nanda, Rehman, Sanjay Khan