Roman script

tera raasta dekhti hai aankhe

aur tera hi intezaa kare

agar aa jaye tu saamne

tera hi deedaar kare

teri aankho ko meri aankho ne

chupke se sab kuch kehna hai

tujhko sab apna maan kar

tere dil mein hi bas rehna hai

rutha hai dil tuta to nahi

tuta bhi ho jhuta to nahi

mere dil ko tujhse pyar hai

tere dil ko mujhse pyar hai

haan ho gayi galti mujhse

main janta hu par ab bhi tujhe main

apni jaan manta hu

ek aakhiri mauka de mujhe

aaj bhi main tujhe

apni shaan maanta hu

jaan maanta hu haye

haan galti kardi maine

par diya pyaar bhi kitna maine

main insaan hu naa bhagwan hu

galti hi ki hai kiya na gunaah maine

jhagda hai pehla

isey akhiri na hone dunga

galti bhi maan li maine

aise jaane na dunga

sach ye naraazgi hai

maine tera dil dukhaya

par jaan le itna tu bhi

tere bin main reh na paaya

yaadon mein teri aankhein

aankhon mein teri yaadein

dhoondein tera chehra din bhar

phir raat ko teri yaadein

yaadein pagal ho gayi

inko samjhaaun kaise

kitna hai pyaar raani

kaise batau kaise kaise ha

mujhmein nahin hu main tere bina

tujhse hi hu main o meri jaan

tu mohabbat tu hai jannat

teri zarurat hai yahaan

teri khaamoshi hai leti

jaan mere haan iss dil ki

saans bhi na le sakun main

o jaane jaan tere bina

teri yaado ko kisi kone mein

chhupa nahi sakta hu main

tere chehre ki woh muskaan ko

bhula nahi sakta hu main

haan ho gayi galti mujhse

main jaanta hu

par ab bhi tujhe main

apni jaan maanta hu

ek aakhiri mauka de mujhe

aaj bhi main tujhe

apni shaan maanta hu

Explore this song