Roman script

sansar ki har shey ka itna hi fasana hai

ek dhund se ana hai, ek dhund mai jana hai

ye raah kahan se hai, ye raah kahan tak hai

ye raaz koi raahi samjha hai na jana hai

sansar ki har shey ka itna hi fasana hai

ek dhund se ana hai, ek dhund mai jana hai

ek pal ki palak par hai thehri hui ye duniya

ek pal ke jhapakne tak har khel suhana hai

sansar ki har shey ka itna hi fasana hai

ek dhund se ana hai, ek dhund mai jana hai

kya jane koi kispar kis modh pe kya beete

is raah mai ae raahi har modh bahana hai

sansar ki har shey ka itna hi fasana hai

ek dhund se ana hai, ek dhund mai jana hai

hamlog khilone hai, ek aise khiladi ke

jisko abhi sadiyo tak ye khel rachana hai

sansar ki har shey ka itna hi fasana hai

ek dhund se ana hai, ek dhund mai jana hai

Explore this song