Roman script

ek baat main apne dil me liye

kya jane kab se firta hu

ab tumhi bata do ye mujhko

wo baat main tumse kaise kahu

jo mujhko tumse kahni hai

ye baat agar wo hai ke jise

sunte hi pighal jate hai dil

ye baat agar wo hai ke jise

sunte hi mile koi manzil

wo mujhko tumse sunni hai

wo baat mere dil ma hai magar

hontho pe nahi aa pati hai

kabhi lafj nahi milte mujhko

aawaz kabhi ruk jati hai

wo baat kahu to kaise kahu

tum mujhko nahi pahchan sake

par main tumko pahchan gayi

wo baat kaho ab ya na kaho

main sune bina hi jaan gayi

kuch aur agar kahna hai kaho

sach puchho to kuch kahne ki

sunne ki kaha jarurat hai

ye baat hi jab tum jaan gayi

ke mujhko tumse mohabbat hai

ha mujhko tumse mohabbat hai

mujhko bhi tumse mohabbat hai

ha mujhko tumse mohabbat hai

Explore this song