Roman script

ek baar bhulati hu to

yaad aate ho sau baar

ek baar bhulati hu to

yaad aate ho sau baar

tumse na karu pyar to

main kisse karu pyar

kisse karu pyar

ek baar bhulati hu to

yaad aate ho sau baar

ithlati huyi aaye pawan jaise chaman me

ithlati huyi aaye pawan jaise chaman me

aate hai tere pyar ke dhokhe mere man me

jhule teri ulfat me mere pyar ka santap

pyar ka santap

ek baar bhulati hu to

yaad aate ho sau baar

mujhko meri khamoshi mohabbat ki kasam hai

mujhko meri khamoshi mohabbat ki kasam hai

manzil ki taraf aaj mera pahla kadam hai

armano ke is khel me ab jeet ho ya haar

jeet ho ya haar

ek baar bhulati hu to

yaad aate ho sau baar

jab samne aati hu to jhuk jati hai aankhe

jab samne aati hu to jhuk jati hai aankhe

kuch kahne se ruk jati hai sharmati hai aankhe

pahna na saku apni mohabbat ki tumhe haar

kisse karu pyar

ek baar bhulati hu to

yaad aate ho sau baar

tumse na karu pyar to

main kisse karu pyar

kisse karu pyar

Explore this song