Roman script

ek akela is shehar me, raat me aur dopahar me

aabodana dhundta hai 

aashiyana dhundta hai

ek akela is shehar me, raat me aur dopahar me

aabodana dhundta hai 

aashiyana dhundta hai, ek akela is shehar me

din khali khali bartan hai 

din khali khali bartan hai

aur raat hai jaise andha kuan

in suni andheri aankho se 

aansu ki jagah aata hain dhuan

jine ki vajah to koyi nahi 

marne kaa bahana dhundta hai

dhundta hai, dhundta hai

ek akela is shehar me, raat me aur dopahar me

aabodana dhundta hai 

aashiyana dhundta hai, ek akela is shehar me

in umar se lambi sadko ko

in umar se lambi sadko ko

manjil pe pahunchte dekha nahi

bas daudti phirti rahti hain 

hamne to theharte dekha nahi

is ajnabi se shehar me 

jana pehachana dhundta hai

dhundta hai, dhundta hai

ek akela is shehar me, raat me aur dopahar me

aabodana dhundta hai 

aashiyana dhundta hai, ek akela is shehar me

Explore this song