Roman script

ek abre siyaah chhaaya aa

ek abre siyaah chhaaya

aa jaa mere saathhi teri yaad ne tadpaaya

ik kaali ghataa chhaayi

ik kaali ghataa chhaayi

jaane kyun dil machlaa

aur yaad teri aayi

bulbul ne machaaya shor

bulbul ne machaaya shor

nazron mein mere siwaa jachta nahi koi aur

ambuwaa pe koyal bole

seene mein dard utthhe

ambuwaa pe koyal bole

seene mein dard utthhe

aur meraa jiyaa dole

anjaan zamaana hai

anjaan zamaana hai

zaalim ne mohabbat ko

kya jaane kya jaana hai

khushiyon ka zamaana hai

khushiyon ka zamaana hai

masum nigaahon mein

ulfat ka fasaanaa hai

kyun humse nigaah pheri 

kyun humse nigaah pheri

aankhon ke pardo mein

tasveer rakhi teri

Explore this song