Roman script

e se banti imli aur aa se banta aam

aam hai mitha imli khati kiska jada nam

b se banti bulbul aur k se banta kauaa

bulbul gaye kauaa roye kiska jada nam

e se banti imli aur aa se banta aam

aam hai mitha imli khati kiska jada nam

o hasina tu kya jane pyar me tere hum divane

gate hai malhar par tore par tore par tore

o divane ja ja ptane kisko aaya tu bahkane

nau do gyara ho ja are ghar pr jake soja

chhodo nahkre rup ki rani mausam rangin rut mastani

aao lagaye prem ka podha dil se kar le dil ka sauda

pyar nahi koi foji pala gana mat tu gake sala

chhod  pyar ka chakar varna ho jayegi takar takar

s se banta sher or b se banti bakari

sher ke aage bakari mai mai kiska jada nam

m se bante madari or b se banta bandar

ek nachaye duja nache kiska jada nam

nam vam me kya rakha hai nam ko maro goli

is dunuya me kuch din jina bolo mithi boli

ched chad kyo suru kari thi ab kyo ghabrate ho 

himmat ho to karo samna ab sharmate kyo ho

ji se banti jit or ha se banti har 

jit gayi mai har gaya mai kiska jada nam

are kiska jada nam baba tera jada nam tera jada nam

do ekm do do duni char ab to hum ko hai tumse pyar

do tiye chh do choke aath karlo yad tum prem ka path

do paje dash do chhike baraha

chamka chamka takdir ka tara

do sate choda do athe sola

mai hu aag or tu hai shola do nave athra do daha bish

ab to hogi teri mari preet preet preet

Explore this song