Roman script

duniya rang rangeeli baba, duniya rang rangeeli 

yah duniya ik sundar bagiya shobha iske nyare hain 

har dari par jadu chhaya, har darai matwari hai

adbhut panchhi phul manohar, kali kali chatkili baba

kadam kadam par aasha aana rup anup dikhati hai 

bigde kaj banati hai, dhiraj ke geet sunati hai 

iska sur misri se mitha iske taar sajili baba

duhkh ki nadiya jivan naiya aasha ke patvaar lage 

o naiya ke khene wale 

naiya teri par lage, par basat hai desh sunhara

kismat chhail chhabili baba, duniya rang rangili

Explore this song