Roman script

duniyaa ke saath chal pyaare

aise na haath mal pyaare

do din bahaar, hans kar guzaar

hai ye reet aaj kal pyaare

duniyaa ke saath chal pyaare

aise na haath mal pyaare

jab tak jawaan ye dil hai

duniyaa haseen mahfil hai

masti mein doob kar ji le

har saans teri manzil hai

jab tak jawaan ye dil hai

duniyaa haseen mahfil hai

masti mein doob kar ji le

har saans teri manzil hai

kyaa aitbaar phir ye bahaar

aaye naa aaye kal pyaare

duniyaa ke saath chal pyaare

aise na haath mal pyaare

thodi hain chaandni raaten

ho mat soch hosh ki baatein

khushiyon ki dhoop ke peechhe

gham ki lagi hain barsaatein

thodi hain chaandni raaten

ho mat soch hosh ki baatein

khushiyon ki dhoop ke peechhe

gham ki lagi hain barsaatein

saare usool bilkul fazool

tu ganwaa naa ek pal pyaare

duniyaa ke saath chal pyaare

aise na haath mal pyaare

do din bahaar, hans kar guzaar

hai ye reet aaj kal pyaare

duniyaa ke saath chal pyaare

aise na haath mal pyaare

aaa aaa

Explore this song